Yeh Dasht-e-Hijar, Ye Wehshat, Ye Shaam k saye
Khuda Ye Waqat, Teri Aankh ko na dikhlaye
Ushi K Naam se Lafzon mein chand utry hain
Wo aik shakhs ko deakhun to aankh bhar aaye
Kali se Main ny Gul-e-Tar jisay banaya tha
Rutain Badalti hain kaise, Mujhy hi samjhaye
Jo bhi Charragh Gharon ko Charagh deta hai
Usay Kaho K Mery Shehar ki taraf aaye
Ye Iztaraab Musalsal azaab hai ya Rub
Mera nahi to kisi aur ka hi ho Jaye