Chand ki simt nazar jaye to kya hota hai?
Raat kuch yunhi guzar jaye to kya hota hai?
Kitni masoom adaa se wo mujhe pochta hai,
Jab koi dil me uthar jaye to kya hota hai?
Mere Moola tu faqat itna bata de mujh ko,
Aadmi jeetay jee marr jaye to kya hota hai?
Kisi anjaan musafir ka kisi pichlay pehar,
Aks aankhon me theher jaye to kya hota hai?
Dard de k wo mujhe hansta raha aour bola FARAZ
Dard jab had se guzar jaye to kya hota hai?