Meri aankhon pe marta tha
Meri baton pe hansta tha
Na jane shakhs tha kaisa
Mujhe khone se darta tha
Mujhe jab bhi woh milta tha
Yahi har bar kehta tha
Suno
Agar me bhool jaon to
Agar me rooth jaon to
Kabhi wapis na aaon to
Bhula pao ge yeh sab kuch
Yunhi hastey raho gaye kya
Yunhi sajtey raho gaye kya
Yehi batain hain bas uski
Yehi yadein hain bas uski
Mujhe bas hai pata itna
Mujhe woh pyar karta tha
Mujhe woh pyar karta haiii